| New York all songs |


new_york_posterCast : John Abraham, Katrina Kaif, Neil Nitin Mukesh, Irrfan Khan
Director : Kabir Khan
Producer : Aditya Chopra
Music Director : Pritam Chakraborty, Pankaj Awasthi & Julius Packiam
Lyricist : Sandeep Srivastava, Junaid Wasi
Year : 2009

hai junoon


[yaaron jee bhar ke jee le pal lagta hai aaj kal
daur apna aayega
yaaron jo khud pe ho yakeen to zindagi haseen
tujhe kal bulayega ] - 2

[hai junoon...
hai junoon sa jeene mein (hai junoon sa jeene mein)
hai junoon...
hai junoon sa seene mein (junoon sa seene mein)] - 2

[kahin jaise koi dhun baje
raahon mein dekho hai manzar saje saare
hum hi hum jahaan mein har jagah
sapne sajaane ki hum ko mili wajah] - 2
ye agar jo sach nahi to sach bhala hai kya

yaaron apne hisaab se dil ki kitaab pe
kuchh to naya likho
yaaron anjaam ki fikar na karti ye umar
fir kyun bhala daro

hai junoon...
hai junoon sa jeene mein (hai junoon sa jeene mein)
hai junoon...
hai junoon sa seene mein (junoon sa seene mein)

hai junoon..
hai junoon..

[kabhi jo milenge raaste
pal mein hi chamkegi hasi puraani
to kaho kya kahoge phir hamein
kaise chhupaoge nami ye palkon ki] - 2
ye pata hai kya hua, hua hai kyun pata

yaaron jee bhar ke jee le pal lagta hai aaj kal
daur apna aayega
yaaron jo khud pe ho yakeen to zindagi haseen
tujhe kal bulayega

hai junoon...
hai junoon sa jeene mein (hai junoon sa jeene mein)
hai junoon...
hai junoon sa seene mein (junoon sa seene mein)

hai junoon...

mere sang

humma hey ya humma hey ya
humma hey ya humma hey ya
oo huoo..
how can i love you more
oo huoo..
how can i love you more

[mere sang to chal zara
kyun dikhe dara dara] - 2
chal tujh ko aa chhupa loon apni main baahon mein
chal khwaab kuchh saja doon teri in nigahon mein

[main jo sang hoon tere rang hoon
raahon se teri chun loon mein khwaab
har lamha yoon guzre ke kehna na chaahe pyaar] - 2

humma hey ya humma hey ya
humma hey ya humma hey ya
oo huoo.. oo huoo..
how can i love you more
oo huoo.. oo huoo..
how can i love you more
how can i love you more

[has ke zara saath teri hasi se mile kal ho haseen
bas itna chaahun main is zindagi se zyaada kuchh nahi] - 2
main jo sang hoon tere rang hoon
raahon se teri chun loon main khwaab
har lamha yoon guzre ke kehna na chaahe pyaar

humma hey ya humma hey ya
[rukna na raahon mein roke agar kal tujhe parchhaiyan
sang tere main bhi hoon tanha nahi hai teri tanhaayian] - 2
main jo sang hoon tere rang hoon
raahon se teri chun loon main khwaab
har lamha yoon guzre ke kehna na chaahe pyaar

mere sang to chal zara kyun dikhe dara dara
mere sang toh chal zara kyun dikhe dara dara
chal tujh ko aa chhupa loon apni main baahon mein
chal khwaab kuchh saja doon teri in nigahon mein
[main jo sang hoon tere rang hoon
raahon se teri chun loon main khwaab
har lamha yoon guzre ke kehna na chaahe pyaar] - 2

humma hey ya humma hey ya
humma hey ya humma hey ya
how can i love you more

tune jo na kaha

hmm..
tune jo na kaha main wo sunta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha

hmm...
tune jo na kaha main wo sunta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
jaane kis ki hamein lag gayi hai nazar
is shehar mein na apna thikana raha
door chaahat se main apni chalta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha

dard pehle se hai zyaada khud se phir ye kiya vaada
khamosh nazrein rahe be zubaan
hmm..
baaton mein pehle si baatein hai
bolo to lab thartharate hai
raaz ye dil ka na ho bayaan
ho gaya ke asar koi hum pe nahi
hum safar mein to hai humsafar hai nahi
door jaata raha paas aata raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
hmm...

aaya wo phir nazar aise baat chidne lagi phir se
aankho mein chubhta kal ka dhuan
hmm...
haal tera na hum sa hai
kis khushi mein kyun ghum sa hi
basne laga kyun phir wo jahan
wo jahan door jisse gaye the nikal
phir se yaadon ne kar di hai jaise pehal
lamha beeta hua dil dhukhaata raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha

tune jo na kaha main wo sunta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
jaane kis ki humein lag gayi hai nazar
is shehar mein na apna thikana raha
door chaahat se main apni chalta raha
bujh gayi aag thi daag jalta raha

aye saaye mere

aaa... aaaa...
[ aa aaja aye saaye mere
aa aaja kahin aur chale
har soch hai ek band gali
har dil mein yahan taale pade ] - 2

gar mumkin ho pak main apna naam mita doon
bas ban jaaun insaan main har pehchaan mita doon
jab barse pehli baarish sab ke ghar barse
bas pooche ye insaan ke apna naam bata doon
[maathe pe sabhi ke likh de
haathon pe sabhi ke likh de
zyada na koi na kam ho
ek naam sabhi ka rakh de] - 2

ek naam sabhi ka rakh de
ek naam sabhi ko bas de

aa aaja aye saaye mere
aa aaja kahin aur chale
har soch hai ek band gali
har dil mein yahan taale pade

is ek zameen ke yaar tu itne tukde na kar
jab ho saare insaan fark phir un mein na kar

is ek zameen ke yaar tu itne tukde na kar
jab ho saare insaan fark phir un mein na kar
jitna chaahe uns mohabbat apno se rakh
nafrat ko tu yaar magar yoon mujhse na kar
[shaklon ko sabhi ke rang de
jismo ko sabhi ke rang de
kaala na koi ho gora
ek rang sabhi ko rang de] - 2

ek rang sabhi ko rang de
ek rang sabhi ko bas de

[aa aaja aye saaye mere
aa aaja kahin aur chale
har soch hai ek band gali
har dil mein yahan taale pade ] - 2

aa aaja aye saaye mere
aa aaja kahin aur chale
har soch hai ek band gali
har dil mein yahan taale pade


No comments:

Post a Comment